Gems of Urdu Poetry: 40+ Timeless Ghazals That Define All-Time Elegance

Urdu poetry, with its profound eloquence and captivating lyrical beauty, has long held a special place in the hearts of literature enthusiasts around the world. Among its most cherished and revered forms is the mesmerizing Urdu Ghazal. Throughout the ages, this enchanting art form has transcended time and culture, leaving an indelible mark on the hearts of countless souls.

In this enchanting journey through the world of Urdu poetry, we present to you a handpicked collection of 40+ timeless Urdu Ghazals that have stood the test of time. Each verse is a reflection of the deepest human emotions, touching on themes of love, longing, heartbreak, and spirituality.

As we delve into the poetic treasure trove of Urdu Ghazals, you will be transported to a realm where words become emotions and emotions find solace in verses. Whether you are an ardent admirer of classical poetry or a newcomer eager to explore the magic of Urdu, this compilation promises to be a delightful voyage through the essence of human emotions expressed in the most elegant and soul-stirring form.

Prepare to immerse yourself in the world of poetic brilliance as we unveil the captivating allure of "Gems of Urdu Poetry: 40+ Timeless Ghazals That Define All-Time Elegance." Let these verses serenade your soul and resonate with the very core of your being, for in Urdu poetry, lies a timeless legacy of emotions that knows no bounds.


40+ Awesome Urdu Ghazal Of All-Time


Saarey waadon ko bhula sakta hun,
lekin rehne do..!
Main tumhein chor k ja sakta hun,
lekin rehne do..!
Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakti hun,
lekin rehne do..!
Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,
us per main muskura b sakta hun,
lekin rehne do..!
Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila sakta hun,
lekin rehne do.

Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiya
Mousam ki tarah badal jaon tujhey is say kiya
Chot khaon ya zakham lagay, ya ahsas-e-ghum mein tarpon
Mein gir jaon ya sanbhal jaon tujhey is say kiya
Mussartaon ko daikh ker bay qarar ho jaon
Ya tofan-e-ghum say behal jaon, tujhey is say kiya
Hansta daikh ker hans paron, rota daikh ker ro paron,
Halat k sanchay mein dhal jaon, tujhey is say kiya
Zararot nahin ab kisi hamsafar ki saaqi,
Janib-e-manzil tanha nikal jaon, tujhey is say kiya
Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz
Thi unki zid k mai jaun unko manane
Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz
kabi b maine to socha b nahi tha
Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz
Har roz aieene sey yehi poochti hun mae
Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz?
Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz
Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakham e jigar tamaam log dekhein gein kisi roz !

Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs,
Hua chiragh to ghar hi jala gaya aik shakhs,
Tamam rang meray aur saray khuwab meray,
Fasanay thay k fasana bana gaya aik shakhs,
Mein kis hawa main uron kis fiza mein lehraon,
Dukhon key jaal her su bicha gaya aik shakhs,
Mohabbaton nay kisi ki bhula rakha tha issey,
Milley woh zakhm k phir yaad aa gaya aik shakhs,
Khula yeh raaz k aina khana hai duniya,
Aur is main mujhey tamasha bana gaya aik shakhs…!

Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawa’ain rukh badalti hain,
Khata’ain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khata hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Ta’aluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay…!

Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey
Aansuon sey dil k koney nam naheen hote...
Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee
Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote...
Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee
Band kamron men koyee mausam naheen hote...
Jab khushee hai naachtee gaatee hai man kee har kalee
Un gharon men kyaa kabhee maatam naheen hote...
Pyaar sab miltaa jinhen ranjish naheen koyee kabhee
Kyaa kabhee aise dilon men gham naheen hote...
Yaad to karte hain unko ham sadaa hee raat din
Khwaab men unke kabhee kyaa ham naheen hote...

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana

Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain...
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana
Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai...
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana...
Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana...

Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte...
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe...
Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai...
Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai...
Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha...

Sir jhukaany ki aadat nahi hay,
Aansoo bahaany ki aadat nhi h...
Hm kho gaye to pachtao gay bohat,
Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay...
Terey dar pay Muhabbat k sawali ban jaaty,
Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay...
Teri yaaden aziz hen bohat,
Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay...
Tum sakht Dil nikle kya gila kren hum,
Shikwa -e-dil lab py laany ki aadat nahi hay...
Bad’dua b kya kren HAQ men tumhaary?
Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay…

To jhuka jhuka k nazar kion milayee jati hay,
Banaa banaa k tamanna mitayee jaati hay...
Tarah tarah say wafa aazmayee jaati hay,
Hijaab un ko meri mohabbat ka aitbar nahin...
To jhuka jhuka k nazar kion milayee jaati hay,
Hamaray dil ka pata wo hamain nahin daitay...
Hamari chiz hum hi say chupai jaati hay
Saqi, Doori-e-manzil say naa-umid na hoo
Manzil ab bus aa hi jaati hay...

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi...
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi...
Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi...
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi...
Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi…...

Agar mein bata don mein kia chahti hon
nazron say apni gira tou na doo gay...
Jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho
Mujhey koi kari si saza tou na do gay...
Mein mohabbaton mein jabar ki qayal nahin hon
Dil laga ker mujh ko bhula to na doo gay...
Jo mein bata don meray mun main kia hay
Tum jahan mein tamasha bana to na do gay...
Darti hon tum say mein raaz-e-dil sunatay
Tum hansi main baat ura to na do gay...
Agar mein bata don mein kia chahti hon
Wafaon k badlay jafa to na do gay
Aur mujh hi say daman chura to na lo gay...

Miley Har Qadam PAy Rafaqat Tmhari
Kahan Hum Kahan Yeh Inayat TUmhari...
Humein Chahiye Bas Taluq Tumhara
Muhabbat Miley Ya Adawat Tumhari...
Kisi Se Bhi Milna, Usay Jeet Lena
Barri Dil Nasheen Hai Yeh Adat Tumhari...
NA Dekha Jahan Mein Aur Koi Tumsa
Barri Munfarid Hai Tabiyat Tumhari...
Humein Zindagi K Kathan Raston Mein
Hemesha Rahay Gi Zarurat Tumhari…!!!

Bandh lain hathoon pay seenay pay saja lain tum ko,
Sochtay hain k aik taveez bana lain tum ko...
Phir tumhain roz sanwarain tumhain barhta daikhain,
Kion na aangun main chunbaili sa laga lain tum ko...
Kis qadar toot ker tum per hamain pyaar aata hay,
Bhur lain banhoon main aur maar hi dalain tum ko..!

behar-e-ishq main doob k daikh kabhi
jaam-e-mohabbat pee k daikh kabhi...
her taraf tera hi aks nazar ayai ga
meri aankhon mein pyar say daikh kabhi...
ghuror hay tujhey apni zulfon ki cha’aon ka
meri palkon ki chaon mein baith k daikh kabhi...
Kaisi hoti hay tapish zamanay ki nigahon mein
meray dil k aangun say bahar aa k daikh kabhi...
kitni hoti hay mithas jazba-e-dar guzar main,
kisi rothay howay ko mana k tu daikh kabhi...
kerti hay kaisay khushu gul say parwaz
ik bar mujh say door ja k daikh kabhi...

Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai…
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai…
Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye…
Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai…
Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo…
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai…
Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein…
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai…

Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta...
Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai
Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta...
Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta...
Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta...
Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai
Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta...
Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi
Ae dil Be’faiz logon se nibah kar kuch nahi milta...

Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai...
Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai...
Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai...
Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mila hai...

Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay…..
Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay…
Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko…..
Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay…..
Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou…
Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay……
Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa…
Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay...

Bun jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga
Her pal rahon mein yadoon mein kaisa lagay ga?...
Dartey ho jo tum narazgi say meri
ho jaon agar tum say khafa kaisa lagay ga?...
Tum pyar mein khud ko ho mitanay pay raazi
Ban jayai agar pyar saza kaisa lagay ga ?...
Khud se bhi ziyadah ho yaqeen tum ko agar kisi per
Woh shakhs hi dey jayai dagha kaisa lagay ga?...
Tum aur hi mehfil ka dia ban ker chalo phir
Tanhai milay tum ko sila kaisa lagay ga ?...

40+ Awesome Urdu Ghazal Of All-Time


Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin...
Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin...
Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab
Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin...
Woh tou mit ker mujhey mil hi gayai rahat werna
Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin...

Lab pai aati hai dua ban k tamanna meri,
zindagi bomb sai ho mehfoz khudaya meri!...
Main jo daftar k liye ghar se nikal ker jaon,
Roz marrah ki tarha khair se wapas aaon!...
Na koi bomb k dhamakay se uradaye mujh ko,
muft main jaam-e-shahadat na pila de mujh ko!...
Jo urdaday mujhay khudkash to doain dunga,
bay wazu hokay chacha bush ko doain donga !...
Biwi bachon ko meri jan ki qeemat mil jai,
bethay bethay meray ghar walon ko daulat mil jaye!...
Hain jin logon se kal tak thee watan ki zenat,
aaj woh log hoay qabar-o-kafan ki zenat !...
Ghar mera hogaya viranay ki soorut yarab,
Aur badli na kisi thanay ki soorat yaarab !...
In pai jaiz hai zabardasti hukumat karna,
Aur hai jurm mujhey apne hifazat karna!...
Rozi hum sub ki bacha roz ki hartalon sai
Jan aur maal ho mefoz police walon sai!...
Jub na schol khulain gay to perhain gay kaisay,
Aur zinda na rahaingay to barhaingay kaisay !...

Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,
Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi !...
Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !...
Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !...
Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud,
Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi !...
Apani tamam shokh adaaon ke bawajud,
Bahla saki na jee mera eek pal bhi zindagi !...
Bojhil hai rat chand sitaron ke bawajud,
Suraj ke bawajud andhera hai zindagi !...
Barbaad hamko hona tha barbad ham huye,
Duniya hai sari nek salahon is zindagi !...
Kaatil the jitane mere sabhi ho gaye bari,
Aur chup khadi thi chasmdeed gawahon si zindagi !...

Mushkilon ko karta Jo aasan hai,
WO asal me hi to ek insan hai !...
Gham se ghabara ke Jo himmat chhod de,
Buzdili ki uski to pahchan hai !...
Zindagi hai ek dariya dard ka,
Dard se khele wahi insan hai !...
Khushali me sab yaha jee lete hai,
Ghum me jeena to alag ek shan hai !...
Ham bana saktey hain khud takdeer ko,
Gham ham hi me josh ka elan hai !...
Kahte hain eh waqt hai ek dhup chhaon,
Feer bhala kyon aadami hairan hai !...
Khud ko Jo samjhe ki ham kamzor hain,
WO bahut nadan hai anjan hai !!...

Meray Allah larai se bachana mujh ko,
Aur sikha day koi banduk chalana mujhko!...
Khair se laut k ayain meray abbu ghar main
Urr na jain woh dhamakay sai kahin daftar main !...
Raat din jaam traffic na rahay sarkon per
Koi nala na gatar bhar kar bahay sarkon per!...
Qalma gawaion ko musalman banaday yarab
Naik aur saheb-e-iman banaday yarab !...
Naam-e-Islam ki hurmat ko bachalay yarab
Waqt kai sarazy yazidon ko uthalay yarab...
Lub pai aati hai dua ban kay tamanna meri...

Safar tanha nahin karte
Suno aesa nahin karte...
Chalo tum raz ho apna
Tumhain afsha nahin karte...
Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte
Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte...
Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte
Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey...
Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha nahin karte
Suno yadain sataingi magar roya nahin karte...
Suno tum yad atay ho aur hum soya nahin karte...

Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai,
Koi jaane ke na jane mera rab janta hai !...
Jaaney kab usko faqiron pe taras aajye,
Kuchh milega e mera daste talab janta hai !...
Hazaar bar usse tod ke aajaun mai rita,
Magar wo hamko bulane ka hunar janta hai !...
Mai usko bhul ke zinda rahunga kaise “Saqi”,
WO meri sanso ki talab ki wajah janta hai !...
Mera hasna use achha nahi lagta shayad,
Warna wo meri udasi ka sabab janta hai !!...

Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya...
Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya...
Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya...
Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya...
Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya……!!

Labon ki sersarahat se.
badan k choor hony tak...
Main tujh ko is tarah chahoon.
K meri saans ruk jaye...
Khataon par khata’ain hon.
Na ho kuch baat kehne ko...
Main tujh main yoon sama jaoun.
K meri saans ruk jaye...
Na himmat tujh main ho baqi.
Na himmat mujh main ho baqi...
Magar itna qareeb aaoun.
K meri saans ruk Jaye...
Tere honton pe jab rakhoon.
Main apny hont kuch aise...
Ya teri pyaas bujh jaye.
YA MERI SAANS RUK JAYe...

Hum nazuk nazuk dil waley
Kabhi hastey hain kabhi rotey hain
Kabhi dil mein khwab parotey hain...
Kabhi mehfil mehfil phirtey hain,
Kabhi zaat mein gum ho jatey hain...
Kabhi chup ki mohar sajatey hain,
Kabhi geet labon par atey hain...
Kabhi sab ka dil behlatey hain,
Kabhi khud tanha ho jate hain...
Kabhi shab bhar jagtey rehtey hain,
Kabhi lambi taan k sotey hain...
Hum nazuk nazuk dil waley Bas,
apney aap mein rehtey hain…
Jin rahon pe ik umer tere sath raha hun,
Kuch roz se wo raste sunsan bohat hain...
Mil jao kabhi laut k phir aon na shayed,
Kamzor hun mein rah mein tufan bohat hain...
Ik tum hi nahi meri judai mein pareshan,
Hum bhi tu teri chah mein veeran bohat hain...
Ik tark-e-wafa pe mein usay kaise bhula dun,
Mujh per abhi os shakhs k ehsan bohat hain...
Bhar aaien na aankhein tu mein ik bat bataon,
Ab tujh se bicher jane k imkan bohat hain...

Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain,
Shaam hotay hi khud ko rok lia kertay hain...
Jaisay mujrim hay bina jurm karay koi,
Aisa woh hum say sulook rawan rakhtay hain...
Ho na jayai kahin un ka dedar hamain,
Is liyay chehray ko chupa rakhtay hain...
Na koi dost na sathi jub apnay paas ho,
Aisay main aankh say aansu rawan rakhtay hain...
Yeh dil tou hay nadaan laikin,
Hum bhi mohabbat per pukhta yaqeen rakhtay hain…

Juda hone ka andesha’ juda honE se pehle tha,
Wo mujh se intehai khush’ khAfa hone se pehle tha...
Junoon ka doar guzra to mujhe b bhool betha wo,
Namaz-e-ishq tha lekin, qaza hone se pehle tha...
Main kese soch sakta tha mujhy wo chor jayega,
Bohat hi ba’wafa wo bewafa hone se pehle tha…

Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee...
tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee...
tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee.
mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee...
meri yaad main tum gum sum ho jao gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee...
mere tasauwur main tum aise kho jao gee,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrao gee...
or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee...
or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jao gee...
or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jao gee,
us din me phir tum se yahee baat kahoon ga...
kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee….

Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin...
lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin...
dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin...
her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
dil se rehai pane pe qudrat usse nahin...

Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata...
yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata...
who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata...
bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata...
kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata...
bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata...

Tum aao to hum bhi EID karen
Hasrat hai tumhari deed karen...
Kuch der to dil ko chain mily
Kuch roz to mann k phool khilen...
Kehty hain k EID ki aamad hai
Hum log bhi kuch taaeed karen...
Tum se ik ye guzarish hai
Ye apny dil ki khwahish hai...
Ik bar milo
Ik bar milo
Hr bar ye hi taakeed karen...
Maana k hum deewany hain
Sab baaton se anjany hain...
Jab apny bhi begany hain,
Kiya ghairon se ummeed krain...
Tum aao to hum bhi Eid karen
Tum aao to hum bhi Eid karen...

Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai,
Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai !...
Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi,
Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai !...
Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan,
WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai !...
Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo,
Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai !...
Mauj masti ko honge dost hajaron lekin,
Bure din me na aaye kam wo dosti kya hai !...
Kare Jo darj apana nam nahi safahon me,
Makam jiska martaba na wo hasti kya hai !...
Aman aur chain shakun ka jaha na dera ho,
Basera khaak hai “Saqi” wo basti kya hai...!!

Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha...
kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha...
kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha...
meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha...
rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha...
ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha...

Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon...
Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha
Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon...
Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai
Dar hai pyaron sey judai ka, khud ko tarapta dekhoon...
Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager
Ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhoon...
Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
Teri aankhon mein wohi pyar mein phir se dekhoon...
Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhoon...

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu...
Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu...
Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu...
Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu...
Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu...
Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu...
Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu...
Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu...
Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu...
Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu...
Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu...
Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu...
Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu...
Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu...
Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu...

40+ Awesome Urdu Ghazal Of All-Time


Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai...
woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana...
teri awaaz k sehar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana...
bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon...
bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai...
magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai...
tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna...
tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai...

Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai,
Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai !...
WO chehra gam se kumhlane na paye,
Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai !...
Tabassum hai labon pe dil me nafarat,
Yahi iss daur ka nakse wafa hai !...
Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai,
Nahin maloom he kaisi saza hai !...
Zamana chup hai aur bole hai “Zakhmi”,
Yah uski bezubaani ka sila hai...!!

Bewafa waqat se wafa mange,
Chhod! e dost tu e kya mange !...
Doston se bhi dil nahi barham,
Bas isi zurm ki saza mange !...
Maut aaye to zindagi chahe,
Zindagani me jo kaza mange !...
Be-hijabi bhi be-wafayee hai,
Aayeena parda-e-wafa mange !...
Ab to khud ko mita liya hamne,
Aur kya ab teri raza mange !...
Uski neeyat me khot hai zakhmi,
Aur o pyar be raya mange...!!

Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao...
Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao...
Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao...
Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao...
Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao...
Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum Funkaar ho jao...

Jo na mil saka wo baywafa
yeh bare ajeeb si baat hai
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai…

Wo roshni kay khayal main
wo na asaka raah mian muntazir
yeh khalish kahan thi visaal main
mere justojoo ko khabar nahi...

na wo din rahay na wo raat rahay
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai
Kary pyar lab pay koi gila na hoo...
yeh kissi kissi ka naseeb hai
yeh karam hai uski jafa nahi
wo juda bhi rehkay qareeb hai
wo aankh hai mere ru baru...
ussi haath mein mera haath hai
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai
mera nam tak jo na lay saka...
jo mujhay qarar na day saka
jissay ikhtiyaar tau tha magar
mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs mere talassh hai...
wohi dard mere hayaat hai
jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak meray saath ha...

Kash banane wale ne mjhe kitab bnaya hota.
Woh parhty parhty so jati mujhy seenay say lagaya hota...
Main ous k gum main rota or rota he jata.
Os nay chupky say mujhy senay say lgaya hota...
Os ko dastaan suna suna k thak sa giya.
Kash uss nay b mujhy hal-a-dil sunya hota...
Main oss ka naam leta or subho sham leta tha.
Hay afsos os ny mujhy 1 bar bolaya hota...
Main oss ki khatr trpta rha sham o sehar ~Mohsin~
Arman na hota gar os ny 1 anso he bhaya hota...

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya…
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya….
lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya…
aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi…
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya…
jane kya us ko logon sey thein shikayatein…
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya…
khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya….
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…


As we come to the end of this poetic odyssey through the realm of Urdu Ghazals, we hope you have experienced the profound beauty and emotional depth that this timeless form of poetry offers. Each Ghazal presented here, carefully chosen from the treasure troves of literary history, represents a unique tapestry of human emotions woven by the masterful pens of legendary poets.

The allure of Urdu poetry lies not only in its linguistic brilliance but also in its ability to transcend cultural barriers and touch the hearts of people from diverse backgrounds. Its universal themes of love, pain, longing, and spirituality resonate with the shared human experience, fostering a deep connection between poets, verses, and readers alike.

We invite you to revisit this collection of 40+ Awesome Urdu Ghazals of All-Time whenever you seek solace, inspiration, or a glimpse into the depths of human emotions. Allow these verses to accompany you on your journey through life, offering moments of reflection, comfort, and appreciation for the artistry of language.

As the legacy of Urdu poetry endures, may it continue to inspire generations to come, reminding us that words have the power to heal, uplift, and unite us in the shared tapestry of humanity. Let us celebrate the timeless elegance of Urdu Ghazals and keep the flame of poetry alive, illuminating the world with its everlasting radiance.

Thank you for embarking on this poetic adventure with us, and may you carry the essence of these Ghazals in your heart forever. Until we meet again amidst the enchanting verses of Urdu poetry, let the beauty of language and emotion continue to enrich your life.

Farewell, and may your journey through the world of poetry be forever blessed with the magic of Urdu Ghazals!

Post a Comment

Leave Your Comment Here.

Previous Post Next Post